Saturday, August 15, 2009
Haan, Tum hi to ho woh
Kya khoob nazaara hai
Yeh husn tumhaara hai
chamakti kanpkapaati palkon taley
sapney tumne jo sanwaarey hai
narmi se, halke se paala hai maine
Khwabon me dekha tha jisey
Haan, tum hi to ho woh
Sunehri subah ki tarah ugte ho tum
mere zindagi mein, har pal
ek waadey ki tarah hi rahoge tum
paas mere
kal, aaj aur kal
dekhoon tujhe to dekhta hi jaaon
thamti hai saari duniya
sajey sur pyaar ka chaaro taraf
hai Rab jaisi yeh khushiyaa
Khwabon me dekha tha jisey
Haan, tum hi to ho woh
Aur kya kahoon main, labs me bol nahi aate
samajh sako to samajh lo
dil ki ye zubaan
ankahi, adhkahi baate
pahuhchtey kai kaano me tumhaare
gehri hai jazbaat aur bhi
aankho ki yeh baate
hai khwahish ki kho jaae hum ishq mein
is nashe me ki dekhe saari duniya
aur hairaan ho
takta hoon raah tumhaara
ki kab haan keh do aur kubool karo meri yeh chaahat
yet deewangi, meri dil ki yeh baat
kyunki
Khwabon me dekha tha jisey
Haan, tum hi to ho woh
I know its cheesy but I daresay its one of the multiple facets that make me up. Love is a beautiful experience.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment